Islami saal ki jab bhi pehli tareekh aati hai to logo ke dilo’n me sabar, qurbani aur haq ka zikr yaad aata jata hai, to zehan mein foran Muharram aur Karbala me shuhadao ke naam gunjne lagte hain. Lekin is purey waqiye ko sahi tarah se samajhne ke liye ek sawal ka jawab janna bahot zaroori hai, ki aakhir yeh Yazid kaun tha? Woh kaun tha jiske faislon ne tareekh ka rukh badal diya tha aur jiske daur me Islami tareekh ka sabse dard wala Waqiya pesh aaya? Aaiye is article jariye hum bilkul aasan aur aam zubaan me, Yazid bin Muawiya ki haqeeqat ko samajhte hain.
Yazid Kaun Tha?

Yazid bin muawiya , Banu Umayya ( Umayyad Saltanat) ka doosra hukmraan tha. Uska Janam taqriban 26 hijri ( 647 AD) me Syria( Mulk e Shaam) me hua tha. Wo Hazrat Muawiya (RA) ka beta tha. Yazid ka daur e hukumat islam ki tareekh mein ek bahut hi ahem mod maana jaata hai, kyu ki iss daur mein Islami hukumat ka nizaam khilafat se badshahat ki taraf badalne laga tha.
Yazid Ka Bachpan Aur Uski Shakhsiyat
Yazid ka bachpan Shaam (Current Syria) ke maahol me guzra tha. Bachpan se usko ghudsawari, shikar karna, aur teerandazi jaisi cheezein sikh li thi .Jab hum Tareekh utha kr dekhte hai to Yazid ki dilchaspi mostly hukumat aur duniyavi zindagi me thi. Bahut se tareekh navis likhte hai ki wo siyasi aur humari mamlaat per bahut hi jyada tawajjo deta tha. Jabki deen e islam me , ilm aur ibadat se uski dilchaspi utni mashhoor nahi thi.
Khilafat Se Badshahat Ka Safar: Yazid Ka Takht Par Baithna
Jab Hazrat Muawiya (R.A) ke aakhiri daur chal raha tha tab unhone Yazid ko apna jaanashin muqarrar kar diya tha. Yeh Deen e islam ki tareekh mein ek naya aur bahut bada badlao tha, kyunki isse pehle Khalifao’n ka intekhab (selection) aam mashware ya Shaura se hota tha.
Jab 60 Hijri me Hazrat Muawiya RA ko inteqal hua , to tab Hukmaran yeh Yazid bana aur usne Damascus ( Damishq ) se apni hukumat shuru kar di. Usne Hukumat sambhalte hi Madina ke governor ko ek paigham bheja ki waha jo bhi badi shakhsiyat, bujurg hai , her kisi ko meri bayt ( yani wafadari ki kasam khana) leni hogi. In buzurg hastiyo me sabse ahem naam Hazrat Imam Hussain RA ka tha, Kyunki woh Nabi Muhammad SAW ke nawase the aur Musalmano me bahut ijjat rakhte the.
Hazrat Imam Hussain (R.A) Ne Baiaat Se Inkaar Kyun Kiya?
Yeh iss kahani ka sabse ahem mod hai. Yazid kaun tha, iska andaza aap sabhi iss baat se bhi laga sakte ho ki uska hukumat karne ka tarika bilkul deen e islam ke khilaf jaa raha tha kyu ki Khilafat ab badshahat mein badal chuki thi, jahan waha rehne waale logo ko haq aur deen ki parwah bahut kam ho gayi thi.
Hazrat Imam Hussain (RA) mehsoos karne lage the ki agar sabhi ne Yazid jaise shakhs ki badshahat par muhr laga di, to Islam ka asal chehra hamesha ke liye badal jayega. Imam Hossain RA ka inkaar kisi zaati dushmani ki wajah se nahi, balki haq aur insaaf ko zinda rakhne ke liye tha. Agar aap Imam Hussain Story aur unke bachpan se lekar Karbala tak ki poori zindagi ke baare mein vistar se padhna chahte hain, to hamara yeh article zaroor dekhein. Aapke inkaar ke baad wahan ke halaat kharab hote gaye aur Kufa ke logon ke bulane par Imam Hussain ne safar shuru kiya.
Yazid Aur Karbala Ka Waqia
Yazid ke zamane ka sabse kala panna Yaum-e-Ashura (10th Muharram) ko likha gaya tha. Yaum e Ashura mubarak din ki mukammal fazilat aur roohani ahmiyat janne ke liye aap hamara Ashura 2026 par likha gaya ahem article padh sakte hain. Yazid ke dwara bheje gaye governor Ubaidullah ibn Ziyad aur uske lashkar ne Hazrat Imam Hussain (R.A) aur unke chhote se khandaan ko gher liya.
Paani band kar diya gaya aur aakhirkaar maidan-e-Karbala mein unhe berahmi se shaheed kar diya gaya. Jabki Yazid ne baad me sabhi ke saamne yeh zahir karne ki koshish ki thi ki woh is qatl se khush nahi tha, lekin tareekh gawah hai ki usne zimmedaro’n ko koi sakht saza nahi di, jiski wajah se poori Islami duniya mein use is ghinone jurm ka asal zimmedar mana jata hai.
Islami Tareekh Aur Scholars Ka Yazid Par Kya Stand Hai?
Saudi Arabia aur poori duniya ke ahem Sunni scholars (jaise Ibn Taymiyyah) ka manna hai ki Yazid na to koi bura ideal hai aur na hi use follow kiya ja sakta hai. Woh ek aam badshah tha jiske daur mein Ahle Bait par behadh zulm hua. Log use kisi izzat ki nigaah se nahi dekhte aur uske is action ki hamesha ninda (condemn) ki jati hai.
FAQs
Q1: Yazid kaun tha aur uska baap kaun tha?
Ans: Yazid bin Muawiya, Umayyad Dynasty ka doosra badshah tha. Uske baap ka naam Hazrat Muawiya (R.A) tha, jo ki pehle Umayyad Khalifa the.
Q2: Kya Yazid ne Imam Hussain ko shaheed karwaya tha?
Ans: Direct taur par hukm na sahi, lekin Yazid ke governor Ubaidullah ibn Ziyad aur uski fauj ne hi Karbala mein Imam Hussain (R.A) ko shaheed kiya. Yazid hukmraan tha, isliye is poore waqia ki ahem zimmedari usi par aati hai.
Q3: Kya Saudi Arabia mein log Yazid ko mante hain?
Ans: Nahi, Saudi Arabia ke aam log ya wahan ki hukumat Yazid ko apna leader ya ideal nahi manti. Wahan ke scholars Ahle Bait se mohabbat karte hain aur Karbala ke waqia ko Islami tareekh ka ek bohot dukhada sabaq mante hain.
Q4: Khilafat aur Badshahat mein kya farq hai jo Yazid ke daur mein shuru hui?
Ans: Khilafat me leader ka intekhab aam logo ki rai aur Islami usoolon se hota hai, jabki badshahat (jo Yazid se shuru hui) mein baap ke baad beta bina kisi mashware ke takht par baith jata hai.
Q5: Yazid ki maut kaise hui aur uski qabr kahan hai?
Ans: Yazid ki maut taqriban 64 Hijri (683 AD) me sirf 36 ya 37 saal ki umar mein hui thi. Uski maut ki wajah achanak koi bimari ya shikaar ke dauran hadsa batayi jata hai. Uska intiqal Huwwarin (Syria) mein hua tha aur use Damishq (Damascus) mein dafnaya gaya tha, lekin aaj tareekh mein uski qabr ka koi naam – nishaan ya kuch ataa pataa nahi milta.
Q6: Yazid ne kitne saal hukumat ki?
Ans: Yazid ne bohot hi chote daur ke liye hukumat ki. Uska poora daur-e-hukumat taqreeban 3 saal aur kuch mahine (60 Hijri se 64 Hijri) tha. Lekin is chote se daur mein hi tareekh ke sabse dardnaak waqiat pesh aaye.
Q7: Yazid ke daur mein Karbala ke alawa aur kaun se bade waqiat hue?
Ans: Yazid ke 3 saal ke daur mein teen bade siyah waqiat hue: Pehla, Waqia-e-Karbala (Imam Hussain ki shahadat). Doosra, Waqia-e-Harrah (jahan Yazid ki fauj ne Madina Munawwarah par hamla kiya). Aur teesra, Makkah Mukarramah ka gherao aur Khana Kaaba par patthar barsana jab Hazrat Abdullah bin Zubair (R.A) ne uski baiaat se inkaar kiya tha.
Q8: Yazid ke baad takht par kaun baitha?
Ans: Yazid ki maut ke baad uska beta Muawiya II (Muawiya bin Yazid) takht par baitha. Woh ek nek aur narm dil insan tha. Usne sirf kuch mahine hukumat ki aur yeh kehte hue takht chhod diya ki “Mere baap aur dada ne jo rasta chuna, main uspar nahi chal sakta.”
Q9: Yazid ka naseb ya nasab (Family Tree) kya hai?
Ans: Yazid ka poora naam Yazid bin Muawiya bin Abu Sufyan tha. Yeh khandaan Banu Umayya (Umayyad Dynasty) se taalluq rakhta tha, jo Makkah ka ek bohot hi taqatwar aur mashhoor qabila tha.
Conclusion: Yazid Ke Daur Se Kya Sabaq Milta Hai?
Yazid kaun tha, iss sawal ka aakhiri jawab yahi hai ki woh ek aisi hukumat chahta tha tha jisme sabhi uske aage ghutne tek, Sir jhukaye aur uski hamesha baiyt karte rahen, aur wo taqat aur takht ke liye kisi bhi hadd tak ja sakta tha. Doosri taraf Hazrat Imam Hussain (R.A) ka naam hamesha ke liye sabr aur haq ki pehchan ban gaya.





