Introduction
Hum bachpan se ek naam sunte hue aa rahe hain – Shaitan. Jab bhi koi bura kaam hota hai, koi ladaai hoti hai, ya phir Namaz mein dil nahi lagta, toh hum sabse pehle kehte hain, “Yeh sab shaitan ka kaam hai.” Lekin kya apne kabhi socha hai ki asal mein shaitan kaun hai? Woh kahan se aaya? Kya woh pehle koi farishta tha ya phir jinn? Uska asli naam kya hai aur aakhirkar woh insano ka itna bada dushman kaise aur kyun ban gaya?
Aaj ke is daur mein, jahan har taraf gunah aur behayaai aam hoti najar aa rahi hai, hamare liye yeh janna behad zaroori hai ki hamara asl dushman kaun hai aur woh kis tarah hamare Imaan par daka dalta hai. Internet par is topic ko lekar bohot si jhooti kahaniyan aur myths maujood hain. Lekin ek sachhe musalman ke taur par, hamein har baat ka jawab sirf-o-sirf Quran aur Sahih Hadith se lena chahiye.
Is tafseeli article mein hum Quran-e-Kareem aur Sahih Ahadees ki roshni me shaitan ki poori haqeeqat ko samjhenge. Hum uske un dhokon ko benaqab karenge jinse woh hum sabhi ko gumrah karta hai, aur un practical tarikon ko seekhenge jo Allah aur Uske Pyare Rasool Mohammad SAW ne hamein sikhaye hain.
Shaitan Kaun Hai? Asli Haqeeqat Aur Uska Wajood
Shaitan koi khayali kirdar ya koi power nahi hai jise insaan ne khud soch liya ho, balki woh ek asli aur jeeta jagta wajood hai. Islam hamein batata hai ki shaitan aag se paida kiya gaya aur ek jinn hai na ki farishta.
Lafz ‘Shaitan’ asal mein har us makhlooq ke liye istemal hota hai jo na farman, mutakabbir, aur Allah ki raah se bhatki hui ho. Is puri shaitani fauj ka jo sardaar hai, uska asli naam Iblis hai.
Kya Shaitan Ek Farishta Tha? (Ek Badi Ghalatfehmi Ka Izala)
Mostly logon me yeh ghalatfehmi aam hai ki shaitan pehle ek farishta tha, jise baad mein uski na-farmani ki wajah se aasman se nikal diya gaya. Yeh concept gair-Islamic riwayaton aur Christian mythology se aaya hai. Islam isko bilkul nakaarta hai ki Shaitan ek farishta tha.
Quran-e-Majeed mein Allah Ta’ala ne saaf-saaf farmaya hai ki Iblis farishta nahi, balki jinnat mein se tha:
“Aur jab Hum ne farishto’n ko hukum diya ki Adam ko sajda karo, toh Iblis ke siwa sab ne sajda kiya. Woh jinnat mein se tha, phir usne apne Rabb ke hukm ki na-farmani ki.” (Surah Al-Kahf, Ayat 50)
Farishton ki yeh khusoosiyat hoti hai ki woh kabhi bhi Allah ki na-farmani nahi kar sakte hain. Unke paas free will nahi hota. Woh wahi karte hain jo Allah unhein hukm deta hai (Surah At-Tahrim: 6). Iske khilaf, jinnat ke paas insano ki tarah apni marzi chunne ka ikhtiyar hota hai – woh chahein toh nek banein, chahein toh gunahgar. Iblis ne apni free will ka galat istemal kiya aur takabbur ke raste par chal pada.
Iblis Ki Kahani: Ibadatguzar Se Mardood Tak
Iblis paidaish ke aitbar se jinn tha, lekin usne Allah ki itni ibadat ki, itni zyada riyazat ki, ki Allah ne use ek uncha maqam ataa farmaya tha. Woh aasmanon par farishton ke sath rehne laga aur unke sath milkar Allah ki tasbeeh bayan karta tha.
Hazrat Adam (A.S.) Ki Paidaish Aur Azmaish
Jab Allah Ta’ala ne pehle insaan aur hamare baap, Hazrat Adam Alaihissalam ko mitti se paida kiya, toh Allah ne farishton aur wahan maujood Iblis ko ek hukm diya. Aur Yeh hukm un sab ki ibadat ka imtehan tha kyuki Allah her cheej per qadir hai aur dilo ke raaj se waqif rehta hai.
Quran mein irshad hai:
“Jab Tumhare Rabb ne farishton se farmaya ki Main mitti se ek insaan banane wala hoon. Phir jab Main use poora bana loon aur usmein Apni rooh phoonk doon, toh tum sab uske aage sajde mein gir padna.” (Surah Sad, Ayat 71-72)
Iblis Ka Takabbur Aur Inkar
Allah ka hukm sunte hi tamam farishton ne foran sajda kiya. Unhone koi sawal nahi kiya, koi nakhra nahi dikhaya. Lekin Iblis apni jagah par khada raha. Usne sajda karne se bilkul saaf inkar kar diya.
Allah Ta’ala ne usse pucha: “O Iblis! Tujhe kis cheez ne roka usko sajda karne se jise Meine Apne dono hathon se banaya? Kya tu ne takabbur kiya ya tu bade darje walon mein se tha?” (Surah Sad, Ayat 75)
Iblis ne jo jawab diya, wahi uski hamesha ki tabahi ka sabab bana. Usne daleel di: “Main usse behtar hun. Ya Allah Tune mujhe aag se paida kiya aur use mitti se paida kiya.” (Surah Sad, Ayat 76)
Iblis ne yahan par ‘Qiyas’ (logical reasoning) kiya jo ki galat tha. Usne socha ki aag mitti se upar jati hai, isliye aag mitti se afzal hai. Usne yeh nahi dekha ki Hukm dene wali Zaat kitni badi hai. Uske is takabbur ne use pal bhar mein ‘Aalim aur Abid’ se ‘Mardood’ bana diya.
Shaitan Ka Qayamat Tak Ka Challenge
Jab Iblis ko uske hi takabbur ki wajah se Allah ki bargah se nikal diya gaya aur us par lanat bhej di gayi, toh usne apni galti par maafi mangne ke bajaye, zidd aur dushmani ka rasta chun liya. Usne Allah se Qayamat tak ki mohlat mangi takki woh Hazrat Adam aur unki aulad (insano) se apna badla le sake.
Shaitan Ne Allah Se Kya Kaha?
Quran-e-Kareem mein shaitan ke us khule challenge ka zikr hai jo usne Allah ke samne kiya tha:
“Shaitan ne kaha: Is wajah se ki Tu ne mujhe gumrah kiya hai, main zaroor unke (insano ke) liye Teri seedhi raah (Sirat-al-Mustaqeem) par baithoonga. Phir main un par unke aage se, unke peeche se, unke right se aur unke left se aaoonga, aur Tu unme se aksar ko shukrguzaar nahi payega.” (Surah Al-A’raf, Ayat 16-17)
Yeh ayat padhte hi her ek musalman ke rongte khade ho jate hain. Shaitan ne har taraf se gherne ka challenge kiya hai. Woh hamare samne se aata hai duniya ki chakachaundh lekar, peeche se aata hai aakhiraat ko bhulane ke liye, daayein se aata hai nekiyon mein riyakari dalne ke liye, aur baayein se aata hai gunahon ko khoobsurat banakar dikhane ke liye.
Lekin is ayat mein shaitan ne do simtein (yani directions) chodh dein: Upar aur Neeche.
Shaitan Ke Dhoke Aur Uske Waar Karne Ke Tarike (Tactics of Shaitan)
Shaitan koi aam dushman nahi hai. Uske paas hazaron saal ka experience hai. Woh insaan ki nafsiyaat (Psychology) ko bohot achhe se janta hai. Sahih Muslim ki ek hadith ke mutabiq, shaitan insaan ke jism mein khoon ki tarah daurta hai. Isliye, woh achanak samne aakar hamla nahi karta, balki dheere-dheere hamare dilon mein zehar gholta rehta hai.
Chaliye samajhte hain ki shaitan kaun hai aur uske waar karne ke ahem tarike kya kya hain:
1. Khutwaat-ush-Shaitan (Dheere-Dheere Kadam Badhana)
Shaitan kabhi bhi kisi sache musalman se pehli baar mein yeh nahi kahega ki “Chalo, aaj sharab pee lo” ya “Zina kar lo” ya fala fala. Woh hamesha chhote chhote kadam uthane ko bolta hai. Allah Ta’ala Quran mein baar-baar farmata hai:
“O logon jo imaan laye ho! Shaitan ke kadmon ki pairwi na karo (Do not follow the footsteps of Shaitan).” (Surah Al-Baqarah, Ayat 208)
- Example: Pehle woh aapko kahega ki “Chalo, namaz mein thodi der ho gayi toh kya hua, baad mein padh lena.” Phir dheere se namaz qaza karwayega. Phir dheere dheere namaz hi chhudwa dega. Is tarah woh step-by-step insaan ko kufr ki aur tak le jata hai. Namaz ki ahmiyat aur usko pabandi se ada karne ke fazail ke liye hamara article Namaz Ki Ahemiyat zaroor padhein.
2. Al-Waswasa (Dilon Mein Bure Khayal Dalna)
Shaitan ka sabse bada hathiyar hai Waswasa daalna. Yeh ek aisi dheemi aawaz hoti hai jo aapke dil mein aati hai aur aapko lagta hai ki yeh aapka apna hi khayal hai. Woh aapko aane wale kal se darata hai, ghareebi ka khauf dilata hai, aur Allah ki rehmat se mayoos karta hai.
“Shaitan tumhein muflisi (poverty) se darata hai aur tumhein behayaai ka hukm deta hai…” (Surah Al-Baqarah, Ayat 268)
3. Tazyeen (Gunahon Ko Khoobsurat Banakar Dikhana)
Shaitan bure kaamon par aisa parda dalta hai ki woh kaam bahot attractive aur modern lagna shuru ho jaata hai.
- Sood (Interest) ko ‘Financial Growth’ ya ‘Business Deal’ dikhata hai.
- Behayaai aur naye-naye fashions ko ‘Freedom’ aur ‘Confidence’ ka naam deta hai.
- Ghaibat (Backbiting) ko ‘Time-pass’ ya ‘Dil halka karna’ banakar pesh karta hai.
4. Tasweel (Neki Ko Kal Par Talna)
Jab kabhi bhi aap koi achha kaam karne ka sochte hain – jaise Quran padhna, sadqa dena, ya tauba karna – toh shaitan aapke dil mein dalta hai: “Abhi toh tum bohot jawan ho, budhaape mein tauba kar lena” ya “Kal se pakka namaz shuru karenge”. Yaad rakhna mere naujawan bhaiyo aur behno yeh Kal kabhi nahi aata, aur insaan isi ghaflat mein mar kr duniya se chala jata hai.
Shaitan Ka Darbar: Woh Apne Chelon Ko Kaise Inam Deta Hai?
Shaitan akela kaam nahi karta, uske paas jinnat aur insano ki ek poori fauj hai. Woh har roz apna darbar lagata hai aur apne lashkar ko poori duniya mein fitna phelane ke liye bhejta hai.
Sahih Muslim ki ek bohot hi hairatangez aur dara dene wali hadees hai. Hazrat Jabir (R.A.) se riwayat hai ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
“Iblis apna takht paani par lagata hai, phir apne lashkaron ko (fitna phelane ke liye) bhejta hai. Uske sabse kareeb us chele ka martaba hota hai jo sabse bada fitna phelata hai. Un mein se ek aata hai aur kehta hai: Main ne yeh aur yeh kiya. Iblis kehta hai: Tu ne kuch nahi kiya. Phir ek aur aata hai aur kehta hai: Main ne ek miyan-biwi ke darmiyan judai (divorce) karwa di. Iblis use apne gale se laga leta hai aur kehta hai: Haan, tu ne bohot bada kaam kiya!” (Sahih Muslim: 2813)
Is hadith se maloom hota hai ki ghar ko todna, miyan-biwi mein jhagda karwana, aur parivar ko bikherna shaitan ka sabse pasandida kaam hai. Kyunki jab ek ghar toot-ta hai, toh poora samaj kharab hota hai aur bache gumrahi ki taraf nikal jate hain.
| Shaitan Ki Khusoosiyat | Quran/Hadith Ka Hawala | Practical Sabak |
| Paidaish: Jinnat se hai | Surah Al-Kahf: 50 | Woh farishta nahi tha, usne jaan-bujhkar takabbur kiya. |
| Asli Hathiyar: Waswasa | Surah An-Nas | Dil mein aane wale bure khayalon par foran A’oodhu billah padhein. |
| Kamzori: Momineen par bas nahi chalta | Surah Al-Hijr: 42 | Agar hum sachhe momin banenge, toh shaitan hamara kuch nahi bigad sakta. |
| Target: Miyan-Biwi mein talaq | Sahih Muslim: 2813 | Ghar ke jhagdon ko hamesha samajhdari se khatam karein, gusse mein aakar faisle na lein. |
Common Misconceptions (Shaitan Ke Bare Mein Ghalatfehmiyan)
Hamare samaj mein shaitan ko lekar bahot si aisi baatein mashhoor hain jinka Islam se koi lena-dena nahi hai. Aao Chaliye unka sach jante hain Aakhur kya hai:
Misconception 1: “Shaitan ke paas Allah ke barabar taqat hai”
Bohot se log sochte hain ki ek taraf Allah hai jo achhai ka khuda hai, aur doosri taraf shaitan hai jo burai ka khuda hai (Nauzubillah). Yeh shirk ka concept hai. Shaitan Allah ka makhlooq hai. Uske paas apni koi taqat nahi hai. Woh sirf itna hi kar sakta hai jitni ijazat Allah ne use azmaish ke liye di hai.
Misconception 2: “Ramadan mein saare shaitan band hote hain toh hum gunah kyun karte hain?”
Sahih Bukhari ki hadith hai ki Ramadan mein sarkash shaitan baandh diye jate hain. Lekin phir bhi log gunah karte hain. Iski do badi wajah hain:
- Nafs Ka Asar: Insaan ke andar uska apna Nafs hota hai, jo 11 mahine shaitan ki sohbat me reh kar burayion ka aadi ho chuka hota hai.
- Chhote Shaitan: Sirf bade aur sarkash shaitan band hote hain, chhote jinnat ya insani shaitan tab bhi active ho sakte hain.
Shaitan Ke Waar Se Bachne Ke Practical Tarike (Quran Aur Hadith Ki Roshni Mein)
Ab sawal yeh bhi paida hota hai ki jab dushman hi itna shatir hai, toh hum usse waar se kaise bachein? Allah Ta’ala bohot Raheem hai. Usne agar dushman ke baare mein bataya hai, toh usse bachne ka dhaal bhi hamein ata farmaya hai.
Agar aap apni rozmarra ki zindagi me in tarikon ko apna lenge, toh inshallah shaitan aapke paas aane se bhi darega:
1. Isti’adha (Allah Ki Panah Mangna)
Jab bhi dil mein koi bura khayal aaye, gussa aaye, ya koi gunah karne ka dil kare, toh foran padhein:
أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ (A’oodhu billahi minash-shaitanir-rajeem)
“Aur agar shaitan ki taraf se koi uksahat aaye, toh Allah ki panah mang liya karo. Yakeenan Woh sab kuch sunne wala, sab kuch janne wala hai.” (Surah Al-A’raf, Ayat 200)
2. Ayat al-Kursi Ki Tilawat
Sahih Bukhari ki ek lambi riwayat (Hazrat Abu Hurairah R.A. wali) se sabit hai ki jo shakhs raat ko sote waqt Ayat al-Kursi (Surah Al-Baqarah: 255) padhta hai, Allah ki taraf se ek hifazat karne wala farishta mukarrar ho jata hai aur shaitan subah tak uske kareeb nahi aata.
3. Ghar Mein Surah Al-Baqarah Ki Tilawat
Apne gharon ko qabristan na banayein. Sahih Muslim ki hadith hai:
“Tum apne gharon ko qabristan na banao. Yakeenan shaitan us ghar se bhaag jata hai jis ghar me Surah Al-Baqarah padhi jati hai.”(Sahih Muslim: 780)
4. Bismillah Padh Kar Kaam Shuru Karna
Khaana khane se pehle, ghar mein dakhil hote waqt, aur kapde utarte waqt “Bismillah” padhne ki aadat jaroor dalein. Hadees ke mutabiq, jab insaan Bismillah padh kar ghar mein aata hai, toh shaitan apne chelon se kehta hai: “Chalo, aaj yahan tumhare liye na khane ka thikana hai aur na hi sone ka.”
5. Jama’at Ke Sath Namaz Aur Zikr
Shaitan hamesha akele insaan par jaldi hamla karta hai. Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki bhediya (wolf) hamesha usi bakri ko khata hai jo galle (flock) se alag ho jati hai. Isliye musalmanon ki jama’at, achhi suhbat, aur masjid se jude rahein. Muharram ka mahina ibadat, zikr aur Allah se qurbat hasil karne ka behtareen mauqa hai. Is silsile mein hamara Muharram Aur Ashura par mabni article bhi padhein.
Important Lessons (Ahem Sabaq Jo Hamein Milte Hain)
- Takabbur Sabse Bada Gunah Hai: Iblis ke paas ilm aur ibadat ki kami nahi thi, lekin uske andar ke takabbur ne use barbad kar diya. Allah ke farman ke saamne poori tasleem-o-raza ki behtareen misaal Hazrat Ibrahim (A.S.) ki zindagi mein milti hai. Tafseel ke liye hamara article zaroor padhein. Hamein kabhi bhi apni nekiyon par ghamand nahi karna chahiye.
- Shaitan Sirf Waswasa Dal Sakta Hai, Majboor Nahi Kar Sakta: Qayamat ke din shaitan saaf keh dega ki “Mera tum par koi zor nahi hai, maine toh sirf bulaya tha aur tum meri baat maan gaye. Isliye aaj mujhe bura bhala kehne ke bajaye apne aap ko mamat karo” (Surah Ibrahim: 22). Gunah ka faisla hum khud karte hain.
- Tauba Ka Darwaza Hamesha Khula Hai: Shaitan ka maqsad hamein gunah karwana aur phir Allah ki rehmat se mayoos karna hai. Agar humse koi galti ho jaye, toh hamein foran sachi tauba (Istighfar) karni chahiye. Allah har gunah maaf karne wala hai.
- Gusse Par Kabu Rakhein: Gussa shaitan ka sabse aasaan hathiyar hai. Gusse mein insaan apna hosh kho baithta hai aur aise faisle karta hai jo uski zindagi tabah kar dete hain.
FAQ
Q1. Kya Shaitan (Iblis) ki maut hogi ya woh hamesha zinda rahega?
Ans: Shaitan hamesha zinda nahi rahega. Usne Allah se Qayamat ke din tak (ya jab tak pehla soor phoonka jayega) ki mohlat mangi thi, jo Allah ne use de di thi. Jab Qayamat aayegi aur sab makhlooq fanah ho jayegi, tab Iblis ko bhi maut ka maza chakhna padega.
Q2. Shaitan ki paidaish kis cheez se hui hai?
Ans: Quran-e-Kareem ki Surah Al-Hijr aur Surah Al-Kahf ke mutabiq, shaitan (jo ki ek jinn hai) ki paidaish “Nar-e-Samoom” yani dhuein ke bager aag ki lapat (smokeless fire) se hui hai.
Q3. Waswasa aur Nafs ke khayal mein kya farq hai?
Ans: Shaitan ka waswasa badalta rehta hai. Agar aap ek gunah nahi karte, toh woh foran doosre gunah ki taraf uksata hai, kyunki use sirf aapko bhatkana hota hai. Lekin Nafs ka khayal ek hi buraai par aada rehta hai (jaise kisi makhsoos buri aadat ki baar-baa talab hona).
Q4. Kya shaitan hamare dilon ki baatein jaan sakta hai?
Ans: Ghaib ka ilm sirf Allah ke paas hai. Shaitan hamare dilon ke andar chupi hui baatein bilkul nirdosh tarike se nahi jaan sakta, lekin woh hamare chehre ke expressions, hamari kamzoriyan, aur hamare khoon ke dauraan se yeh andaza laga leta hai ki is waqt hamare dil mein kya chal raha hai.
Q5. Shaitan ka dushman kaun hai?
Ans: Shaitan ka sabse bada dushman har woh musalman hai jo Allah ki ibadat karta hai, Sirat-al-Mustaqeem par chalta hai, aur gunahon se bachta hai. Woh khas taur par unse dushman rakhta hai jo namaz-e-fajr ke liye uthte hain aur Quran ki tilawat karte hain.
Q6. Shaitan se hifazat ke liye sabse behtar Duayein kaun si hain?
Ans: Sabse behtar duayein Quran ki aakhri do Surah hain- Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas. Iske sath hi Ayat al-Kursi aur subah-shaam ke masnoon azkar padhna behad zaroori hai.
Conclusion
Is tafseeli guftagu se yeh saaf ho jata hai ki shaitan kaun hai aur uski haqeeqat kya hai. Woh aag se paida kiya gaya ek jinn hai jo apne takabbur ki wajah se barbad hua. Uska challenge bohot bada hai aur uski dushman dilon mein waswase daal kar hamein gumrah karne ke liye din-raat mehnat kar rahi hai.
Lekin is sab ke bawajood, ek musalman ko shaitan se darne ki bilkul zaroori nahi hai. Allah Ta’ala ne Quran mein saaf farmaya hai:
“Yakeenan shaitan ka makr bohot kamzor hai.“(Surah An-Nisa, Ayat 76)






