Karbala ke tapte sehra wale maidan mein 10 Muharram ko jo dardnaak Waqiya pesh aaya, usne poori qaainat ko hila kar rakh diya. Isse pehle hamare pichle article Battle of Karbala mein padhe ki kis tarah Hazrat Imam Hussain (RA) aur unke pyare 72 sathiyon ne deen e Islam ki hifazat ke liye apni jaanein qurban kar di thi. Lekin aksar logon ke zehan mein yeh sawal aata hai ki aakhir Karbala ke baad kya hua? Un masoom bacchon aur khawateen (women) ka kya hua jo zinda bach gaye the? Yazid ka anjaam kya hua? Aaiye, phir hum iss teesre aur aakhiri part mein iss poore Waqiya ke baad ki tareekh ko samajhte hain.
11 Muharram: Khemon Ka Jalaya Jaana Aur Ahle Bait Ki Qaidi
10 Muharram ki shaam ko jab dushman ki fauj ne hum sab ke pyare Nabi Muhammad SAW ke khandaan ko shaheed kar diya gya, to un zalimo ka zulm wahin tak mehdood nahi raha. Umar bin Sa’ad ke lashkar ne Imam Hussain (R.A) ke khemon (camps) ko aag laga di. Khandaan ki khawateen aur masoom bacchon ke paas chhupne ki bhi jagah nahi bachi thi.
Mardo mein sirf Imam Hussain ke bete Hazrat Imam Ali Zainul Abideen (R.A) zinda reh gaye the, kyunki woh us waqt bahut sakht bimar the aur chalne ke kaabil bhi nahi the. 11 Muharram ko Yazid ki fauz ne un sabhi bache hue logon ko, jisme Hazrat Bibi Zainab (R.A) aur choti bacchi Bibi Sakina (R.A) shamil the, lohe ki zanjeeron mein jakad kar qaidi bana liya.
Kufa Se Damishq Tak Ka Safar Aur Bibi Zainab (R.A) Ke Khutbe
Imam Hossain RA ke khandan walo ko jinke Yazid ki fauz ne Qaidi bna liya tha. Un sabhi ko sabse pehle Kufa ke governor Ibn Ziyad ke darbar mein pesh kiya gaya. Uske baad unhe Iraq se Syria (Shaam) ke shehar Damishq le jaya gaya, jahan (Yazid kaun tha?) Yazid bin Muawiya ka main darbar tha. Is safar ke dauran Nabi ke khandaan ko bahut takleefon ka samna karna pada.
Lekin jab is kafile ko Yazid ke bhare darbar mein khada kiya gaya, to Imam Hussain (R.A) ki bahein Bibi Zainab (R.A) ne ek aisa tareekhi khutbah (speech) diya jisse Yazid ka darbar kaanp utha. Unhone Yazid ko uske zulm ka aaina dikhaya aur farmaya:
“O Yazid! Tu jitni chahe koshish kar le, lekin tu hamare naam aur hamari yaad ko logo’n ke dilo’n se kabhi nahi mita sakega.”
Bibi Zainab ke is hosle ne sabit kar diya ki haq aur sach ko kabhi bhi zanjeero’n mein qaid nahi kiya ja sakta. Rasoolullah ﷺ ke khandaan ki is azmat ko humne Imam Hussain ki biography mein bhi detail se bataya hai.
Ahle Bait Ki Azadi Aur Madina Wapsi
Yazid ke darbar mein jab Karbala ka sach aam logon ke samne aaya, to khud Yazid ke mahal mein rona-peetna shuru ho gaya ths. To waha ke sabhi Log samajh gaye ki Yazid bereham hai aur usne kitna bada jurm kiya hai. Apni hukumat ko khatre mein dekh kar Yazid ne chalaki ki aur sara ilzam apne governor Ibn Ziyad par daal diya.
Usne Ahle Bait ko azad karne ka faisla kiya aur unhe poori izzat ke sath wapas Madina bhej diya. Jab kuch dino baad yeh qafila Madina pahuncha, to poore Madinah shehar mein ek kohram sa mach gaya. Har saal jab log poochte hain ki Muharram kab hai, to unka maqsad isi dard aur qurbani ko yaad karna hota hai.
Yazid Ka Anjaam Kya Hua?
Mostly log jagah jagah search karte hain ki Imam Hussain ko shaheed karne ke baad Yazid ka kya anjaam hua? Karbala ke baad kya hua, iska sabse bada jawab Jalim Yazid ki maut mein chhupa hai. Karbala ke Waqiya ke baad Yazid zyada din tak zinda nahi reh saka.
Sirf 3 saal ke andar hi 64 Hijri mein, woh ek achanak bimari ka shikaar ho gaya aur tadap-tadap kar sirf 36-37 saal ki umar mein mar gaya. Uski maut ke baad uski saltanat bikhar gayi aur aaj tareekh mein uski qabr ka koi nishan tak nahi milta. Quran-e-Paak mein Allah farmata hai:
“Aur unka anjaam dekh lo jo zulm karte hain, unki bastiyan unke zulm ki wajah se ujaad di gayein.” — (Surah An-Naml, Ayat 52)
Frequently Asked Questions (FAQs)
Q1: Karbala ke baad zinda bache hue Ahle Bait ke sath kya kiya gaya?
Ans: Karbala ki jung ke baad dushmanon ne Hazrat Imam Ali Zainul Abideen (R.A), Bibi Zainab (R.A) aur baki khawateen-o-bacchon ko zanjeeron mein jakad kar qaidi banaya aur unhe Kufa aur Damishq ke darbaron mein le gaye.
Q2: Bibi Zainab (R.A) ne Yazid ke darbar mein kya kiya tha?
Ans: Bibi Zainab (R.A) ne Yazid ke bhare darbar mein bina kisi darr ke ek bohot hi powerful khutbah (speech) diya, jisme unhone Yazid ke zulm o sitam ko nanga kiya aur Imam Hussain (R.A) ke haq hone ka parcham buland kiya.
Q3: Karbala ke baad Hazrat Imam Ali Zainul Abideen (R.A) ka kya kirdar raha?
Ans: Hazrat Imam Ali Zainul Abideen (R.A) Karbala mein bimar hone ki wajah se zinda bache the. Unhone apni baqi poori zindagi ibadat, rone aur Karbala ke sabaq ko aam logon tak pahunchane mein guzari. Unhe ‘Sajjad’ (bohot zyada sajda karne wala) kaha jata hai.
Q4: Yazid ki maut kaise hui aur woh kitne saal jiya?
Ans: Yazid ki maut Karbala ke waqia ke taqreeban 3 saal baad (64 Hijri) mein hui. Woh sirf 36 ya 37 saal jiya aur kisi achanak bimari ya shikaar ke dauran hadsa hone ki wajah se mara.
Q5: Kya Karbala ke baad Yazid ne apni galti mani thi?
Ans: Jab Yazid ne dekha ki poori duniya mein uske khilaf gussa badh raha hai, to usne dikhawe ke liye afsos zahir kiya aur sara ilzam apne governor Ibn Ziyad par daal diya, lekin usne dushmanon ko koi saza nahi di thi.
Conclusion: Karbala Ka Asal Sabaq
Karbala ke baad kya hua ki is poori dastan ka aakhiri sabaq yahi hai ki taqat, paisa aur fauj jeet ki guarantee nahi hoti. Yazid ke paas sab kuch hone ke bawajood bhi woh hamesha ke liye haar gaya, aur puri duniya ke log uss per lanat bhejte hai. Aur Imam Hussain (R.A) ne sab kuch qurban karke bhi qayamat tak ke liye logon ke dilon par fatah haasil kar li. Aur Qayamat tak logo ke dilo me jinda rahenge.
Note: Is series ko poora padhne ke liye aap hamara pehla part Karbala Ki Kahani bhi zaroor padhein taaki aapko poora context samajh aa sake.
Yaum-e-Ashura ke din ki poori fazeelat aur tareekh janne ke liye padhein Ashura kya hai?
Prophet Muhammad (SAW) ke Paakiza khandaan ki tareekh aur unke maqam janne ke liye hamara Ahl-e-Bayt Kaun Hain? zaroor padhein.






