Bakra Eid 2026 Complete Guide(Namaz, Dua,Sunnat,Rules aur Important Masail)

Bakra Eid sirf ek tyohaar nahi hai. Yeh Allah ki raza ke liye apni pasandida aur apni sabse pyari cheez qurban karne ka paigham hai. Har saal jab bhi Eid ul Azha aati hai , to har ek musalman ke dil me Hazrat Ibrahim AS aur aur Hazrat Ismail AS ki yaad taaza ho jaati hai. Aaj ke samay me bahut log sirf qurbani tak limited ho gaye hain, Lekin asal rooh niyyat, taqwa aur Allah ki itaa-at ko paana hai.

Allah Quran me farmata hai:
“Allah tak na unka gosht pahunchta hai aur na unka khoon, balki tumhara taqwa pahunchta hai.” (Surah Al-Hajj 22:37)

Jaisa Quran se sabit hai ki Eid-ul-Adha ko Hume ek rasam ki tarah nahi manana chahiye, Balki ek neq niyat se , ibadat karke aur spiritual purification ke taur per samjhana chahiye.

eid ul adha kab hai 2026?

Eid-ul-adha har saal islamic mahine Zil-Hijjah ki 10 tareekh ko manayi jaati hai. 2026 me Saudi Arabia ke official moon sighting ke mutabik 1 Zil Hijjah 18 may ko hai. Yaum-e-Arafah 26 May 2026 ko hai. Ei- ul-adha 27 May 2026 Wednesday me rahegi. India, Pakistan aur kuch dusre mulko’n me chand ek din baad najar aa sakta hai, Isliye waha Eid-ul-adha 28 May 2026 ko bhi ho sakti hai. Islam me final tareekh local chand dekhne per hoti hai.

Official moon updates ke liye aap Saudi moon sighting authorities ya Islamic calendar websites check kar sakte hain.Useful Islamic calendar resource: islamicfinder.org

Bakra Eid Ka Asal Maqsad Kya Hai?

Bakra Eid ka main maqsad hai sacrifice karna, Apni pasandida cheej ko Allah ki raza ke liye qurban /daan karna aur Allah per poora bharosa karna sikhati hai. Jab Hazrat Ibrahim (AS) ke Khuwab me Allah ne kaha ki , Ibrahim Jo tumhe sabse pasand aur ajeez ho usko meri raah me qurban karo matlab Allah ki taraf se hukum ho chuka tha ki apne pyare bete Hazrat Ismail (AS) ki qurbani ka, To unhone Allah ke hukum ke saamne apna sir jhuka diya. Allah ne unki neq niyat aur itaa-at ko khoob pasand farmaya aur Hazrat Ismail (AS) ki jagah Allah ne Jannat se Zibrael (AS) ke jariye dumba bhej diya aur uski Qurbani ho gayi. Yahi wajah hai ki har saal musalman qurbani karte hai, Taaki Allah ke liye apni mohabbat aur farmabardari ka izhar kar sakein aur yahi asal maqsad hai Eid-ul-adha per qurbani karne ka.

Bakra Eid Se Pehle Kya Karna Chahiye?

1. Niyat Saaf Rakhein

Sabse pehle humko chahiye apni niyyat ko saaf rakhein. Qurbani ko ek dikhawa na banaye, social media ya logo ko impress karne ke liye nahi honi chahiye. Isliye Hadees me aata hai:

“Aamaal ka daromadar niyyat par hai.” (Sahih Bukhari)

2. Baal aur Nails Na Kaatein

Jo bhi ghar ka shakhs qurbani karne ka pukhta irada rakhta ho, uske liye sunnat hai ki Zil-Hajja ka chand nazar aane ke baad qurbani hone tak baal aur nails na kaate. Reference: sunnah.com

Eid ul Adha Ki Sunnatein

1. Subah Jaldi Uthna

Eid ke din jaldi utha kare taaki fazar namaz padh kar Eid-ul-adha ki namaz ki tayyari kare aur jyada se jyada ibadat me waqt guzarna sunnat hai.

2. Ghusl Karna

Safai Islam ka hissa hai. Eid ke din ghusl karna mustahab maana gaya hai. Yeh bhi kaha jaata hai jism ki safai mtlb jism ki paaki insaan ka aadha imaan hai.

3. Ache Kapde Pehna

Yeh jaroori nahi ki aap new kapde hi pehne. Aisa kahi bhi kisi bhi riwayat me nhi aata hai , Lekin saaf aur ache kapde pehna sunnat hai.

4. Takbeer Padhna

Eid-ul-Adha me takbeer ki bahut ahmiyat hai:

Allahu Akbar Allahu Akbar,
La ilaha illallahu Wallahu Akbar,
Allahu Akbar wa lillahil hamd.

Eid ul Adha Namaz Ka Tarika

Eid Ki Namaz Kitni Rakat Hoti Hai?

Eid ki namaz me 2 rakat hoti hai aur isme extra takbeerein hoti hain.

Pehli Rakat me Niyyat , Sana ,3 extra takbeer , Phir Surah Fatiha uske sath koi surah phir Ruku aur sajda.
Ab Dusri Rakat me phir se Surah Fatiha aur iske sath koi surah, phir uske baad me 3 extra takbeer phir Ruku aur sajda.

Agar aapko detailed method dekhna ho to yeh authentic guide helpful rahegi: islamqa.info

Eid ul Adha Ki Important Duaein

Qurbani Ki Dua

“Bismillahi Allahu Akbar”
Aur yeh dua bhi padhi ja sakti hai:
“Inna salati wa nusuki wa mahyaya wa mamati lillahi rabbil aalameen.”

Qurbani ke important Rules

Kis Par Qurbani Wajib Hai?

Har sahib-e-nisab ( Us Muslim ko kehte hain jinke pass zaroorat se jyada itni maal Daulat ho jo shariyat ke tay kiye gaye minimum had (insaan) tak pahuch jaaye ) Musalman par qurbani wajib hoti hai.

Kaunse Janwar Ki Qurbani Jaiz Hai?

Bakra Eid per qurbani ke liye Bakra ,Bakri ,Dumba ,Bhains aur Oont jaiz hai.

Janwar Me Kaunse Aib Nahi Hone Chahiye?

Janwar healthy aur khoobsurat ho, Andha na ho, bahut zyada beemar na ho , Langda na ho ,Bohot kamzor na ho.

Hadees references aur detailed fiqh rulings ke liye: daruliftaa.com

Qurbani Ka Gosht Kaise Taqseem Karein?

Islam me qurbani ka gosht teen hisson me divide karna mustahab maana jaata hai. Apne liye ,Rishtedaar aur dost aur Gareeb aur zaruratmand logo ke liye. Bakra Eid ka asli maqsad tab hota hai jab gareeb ke ghar bhi khushi pahunchti hai.

Bakra Eid Par Kaunsi Galtiyan Nahi Karni Chahiye?

1. Show Off Karna- Qurbani ibadat hai, competition nahi.

2. Sirf Photoshoot Tak Limited Rehna- Aaj kal log ibadat se zyada social media content me busy ho jaate hain.

3. Safai Ka Khayal Na Rakhna- Islam safai aur insaniyat dono sikhata hai.

4. Gareebo Ko Ignore Karna- Qurbani ka maqsad sirf meat khana nahi, balki gareebo aur miskeeno me share karna bhi hai.

Allah Qurbani Me Kya Dekhta Hai?

Allah aapke janwar ka size nahi dekhta hai ki wo kitna bada hai ya kitna mehnga hai, Allah aapke dil ki sincerity dekhta hai. Quran me Allah farmata hai:

“Na unka gosht Allah tak pahunchta hai aur na khoon, balki tumhara taqwa pahunchta hai.” (Surah Al-Hajj 22:37)

Yeh ayat har Musalman ko apni niyyat check karne ki yaad dilati hai.

Bakra Eid Hume Kya Sikhati Hai?

Eid-ul-Adha se hum sabhi ko yeh Sikh milti hai ki Allah ke hukm ke saamne jhukna, Sacrifice karna, maa – baap aur parivaar ki ijjat karna ,unki value ko jaanna aur gareebo ka poora dil se khayal rakhna, Taqwa aur sincerity per kayam rehna. Agar hum sirf janwar qurban karein lekin apna gussa, ego aur gunaah qurban na karein, to Eid ka asal maqsad adhura reh jaata hai.

Conclusion

Eid al-Adha sirf ek yearly celebration nahi, balki iman ko fresh karne ka mauka hai. Yeh hume yaad dilati hai ki Allah ke liye sacrifice karna hi asal kamyabi hai.
Is Bakra Eid 2026 par sirf qurbani hi nahi, balki apni niyyat, akhlaq aur dil ko bhi behtar banane ki koshish karein.
Allah hum sabki ibadat aur qurbani ko qubool farmaye. Aameen.

FAQ Section

Que.1 Bakra Eid kab hai?
Ans. Expected taur par June 2026 me hone ki umeed hai, lekin final date moon sighting par depend karegi.

Que.2 Eid ul Adha ki namaz kitni rakat hoti hai?
Ans. Eid ki namaz 2 rakat hoti hai jisme extra takbeerein hoti hain.

Que.3 Qurbani kis par wajib hoti hai?
Ans. Har sahib-e-nisab Musalman par qurbani wajib hoti hai.

Que.4 Qurbani ka gosht kaise divide karna chahiye?
Ans. Sunnat ke mutabiq teen hisson me divide karna behtar maana gaya hai.

Que.5 Kya qurbani ke bina Bakra Eid ho sakti hai?
Ans. Jo sahib-e-nisab hai aur qurbani ki taqat rakhta hai, uske liye qurbani bohot important ibadat hai.

1 thought on “Bakra Eid 2026 Complete Guide(Namaz, Dua,Sunnat,Rules aur Important Masail)”

Leave a Comment